SAWAL: Nazar bad ya jadu ki tashkhees ke liye jinnat se madad lainay ka kya hukum hai? isi terhan mareez ke sath chimtay hue jin ke daaway ka aitbaar karne ka kya hukum hai? ke mareez par jadu hai ya nazar bad ke asraat hain, phir jin ke daaway ki bunyaad par hi deegar umoor ko muratab karne ka kya hukum ho ga ?


JAWAB: Kisi bhi qisam ki bemari ki tashkhees aur ilaaj ke liye jinnat se madad lena jaaiz nahi hai ؛ kyunkay jinnat se madad shirk ke zamray mein aata hai, jaisay ke farmaan baari taala hai :


 وَأَنَّهُ كَانَ رِجَالٌ مِنَ الْإِنْسِ يَعُوذُونَ بِرِجَالٍ مِنَ الْجِنِّ فَزَادُوهُمْ رَهَقًا 

TARJUMA: Aur bohat se insanon mein se mard panah talabb karte hain jin mardon ki to un jinnat ne inhen mazeed darpook bana diya. [ الجن : 6 ]


Isi terhan Allah taala ka farmaan hai :

وَيَوْمَ يَحْشُرُهُمْ جَمِيعًا يَامَعْشَرَ الْجِنِّ قَدِ اسْتَكْثَرْتُمْ مِنَ الْإِنْسِ وَقَالَ أَوْلِيَاؤُهُمْ مِنَ الْإِنْسِ رَبَّنَا اسْتَمْتَعَ بَعْضُنَا بِبَعْضٍ وَبَلَغْنَا أَجَلَنَا الَّذِي أَجَّلْتَ لَنَا قَالَ النَّارُ مَثْوَاكُمْ خَالِدِينَ فِيهَا إِلَّا مَا شَاءَ اللَّهُ إِنَّ رَبَّكَ حَكِيمٌ عَلِيمٌ

TARJUMA: aur jis din Allah taala un sab ko akhatta kar ke farmaiye ga : ae jinnat! tum ne bohat se insanon ko –apne sath mila liya. is par jinnat ke insani dost kahin ge : parvar-digaar! hum mein sab ne aik dosray ko faida pohanchaya, aur ab hum teri taraf se muqarara meyaad par pahonch gaye hain. to Allah taala farmaiye ga : tumhara thikana aag hai, tum is mein hamesha raho ge, sirf wohi bachay ga jisay Allah taala bachaaye ga, be shak tumhara parvar-digaar hikmat wala aur jan-nay wala hai. [ al-anaam : 128 ]


Is aayat mein aik dosray ko faida pohanchanay ka matlab yeh hai ke : insanon ne jinnat ki tazeem ki aur un ke samnay jhuke rahay, aur un se panah talabb ki, is ke aiwz mein jinnat ne un ke phansay hue kaam nikalay aur un ki mann manyan poori kee. isi mein bemari ke asbaab aur bemari ki noiyat waghera batlana bhi shaamil hai, un ke baray mein junoo ko ilm ho sakta hai insanon ko is ka ilm nahi hota lekin kabhi jin jhoot bhi boltay hain, is liye un ki har baat ko maanna mumkin nahi, is liye un ki tasdeeq bhi jaaiz nahi hai .


Please follow and like us:
Pin Share

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *