Karobar ke liye behtreen wazifa

close button


SAWAL

Mein ne aik kaarobar shuru kya lekin band karna para, ab dobarah shuru karna chahta hon lekin koi nah koi rukawat ajati hai, kayi hazraat se mila, lekin farq nahi aaya, ab khud hi subah shaam manzil aur aik wazifa shuru kardiya hai, jo iktalees din ka hai aur paanch din baqi hain lekin koi farq nazar nahi araha ?

JAWAB

Rizaq ke maamla ka talluq Allah taala ki taqseem ke sath hai, woh jisay chahay jab chahay aur jaisay chahay rizaq deta hai, is ke faislay ke samnay koi mansoobah nahi chalta, lehaza aik musalman ko is baray mein Allah taala ke faislon par hamesha raazi rehna chahiye, aap awwal to paanchon namazain masjid mein bajmaat adaigi ka ihtimaam karen, is liye namaz ke ihtimaam ke sath wusat rizaq ka wada hai, har namaz ke baad teen baar yeh dua parheen

اللهم اکْفِنِیْ بِحَلاَلِکَ عَنْ حَرَامِکَ وَاَغْنِنِیْ بِفَضْلِکَ عَمَّنْ سِوَاکَ.

Manzil parhte rahen, mazeed subah shaam teen ( surah falaq aur surah naas ) aur kasrat se astaghfar ka mamool banayen. Allah taala par yaqeen rakhe ke in sha Allah ap ke halaat durust ho jaien ge aur kaarobar bhi sambhal jaye ga .


Karobar mein taraqqi aur job-business mein barket ke liye wazifa


SAWAL: Allah ke karam se aur aap ki dua se allah ne mujhe 1 halal kaarobar ataa farma diya. pichlle kuch mahinay se kaarobar baind ho, rakha hai kiraya bhi bherna mushkal hota ja raha hai. kaarobar mein taraqqi aur kama yi mein barket ke liye koi wazifa bta den aur kis waqt parhna hai tareeqa bhi bta den alhamdulillah mein namaz ki panj waqt pabandi karta hon magar namaz mein Khashoo aur dheyaan nahi lagta is ke liye bhi kuch bta den .

 ”یَا لَطِیْفُ“  درود شریف  پڑھے اور دعا کرے۔

 دوسرا وظیفہ یَا حَیُّ یَا قَیُّوْمُ بِرَحْمَتِکَ اَسْتَغِیْثُ ۔

یَا اَرْحَمَ الرَّاحِمِیْنَ ۔

 ”یَا مُعِزُّ “ہر وقت پڑھتے رہا کریں۔

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *