close button

 Namaloom awazon aur daraonay khowaboon se nijaat kaisay haasil ki jaye ?



SAWAL: Mere sath aik masla hai ke mujhe do admion ki aawaz sunai deti hai. aik baar chaar bujey aapas mein baat kar rahay hin‌, baat samajh nahi aa rahi. aawaz se aisa lag raha hai jaisay gaari par samaan rakh rahay hain aur bohat shore tha. aadha ghantay tak phir main ne ammi ke jaagne par roshni ki to aawaz band ho gayi. doosri baar paanch bujey phir do aadmi baatein karne ki aawazian sunai den, aisa kyun hai? mujhe aksar kisi bhi waqt mammy film deekhaee deti hai jaisay anay wala waqt ho. main namaz bhi padti hon. janna chahti hon aisa kyun hota hai aur main chahti hon ke mujhe film nazar aati rahay .



JAWAB: Allah taala aap ki hifazat farmaiye. aap quran Majeed ke charon qul har raat parh ko soya karen aur pani par dam kar ke piya karen. neez dafaa afaat o balayat ke liye aap Ya waali ka wazifa karen.


Is wazifa ki barket se har qisam ki afaat o balayat tal jati hain aur ghar baar ke afraad har qisam ke afaat o balayat se mehfooz rehtay hain .


Aap is ka vird awwal o aakhir 11, 11 martaba duroood shareef parh kar so ( 100 ) martaba rozana karen .

Is wazifa ko hasb zaroorat 11 din, 40 din ya is se bhi ziyada arsa ke liye jari rakh satke hain .


Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *